Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDhti hain ajnabi parchhaiyan

Talib Husain Talib

DhunDhti hain ajnabi parchhaiyan

Talib Husain Talib

DhūñDhtī haiñ ajnabī parchhā.iyāñ

khiḌkiyoñ se jhāñktī tanhā.iyāñ

chun rahī hai kunj-e-bistar se nazar

itr meñ lipTī huī añgḌā.iyāñ

ik taraf saarā adab aur ik taraf

devmālā.ī kuchh rusvā.iyāñ

dasht-e-jāñ meñ is qadar miTTī uḌī

bhar ga.iiñ āñkhoñ gahrī khā.iyāñ

raat niklā thā saḌak par ghūmne

nangī bhūkī thiiñ ka.ī sachchā.iyāñ

DhunDhti hain ajnabi parchhaiyan

khiDkiyon se jhankti tanhaiyan

chun rahi hai kunj-e-bistar se nazar

itr mein lipTi hui angDaiyan

ek taraf sara adab aur ek taraf

dewmalai si kuchh ruswaiyan

dasht-e-jaan mein is qadar miTTi uDi

bhar gain aankhon ki gahri khaiyan

raat nikla tha saDak par ghumne

nangi bhuki thin kai sachchaiyan

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now