DhunDne KHud hi chala aata sukun-e-dil mujhe
DhunDne KHud hi chala aata sukun-e-dil mujhe
Syed Zaheer Ahmad Zaidi
MORE BYSyed Zaheer Ahmad Zaidi
DhūñDne ḳhud hī chalā aatā sukūn-e-dil mujhe
hāe-qismat tū ne rakhā bhī kisī qābil mujhe
iztirāb-e-shauq kahtā hai abhī chalte raho
de rahī hai dāvat-e-ḳhatm-e-safar manzil mujhe
maiñ to ye tai kar chukā thā ab na ā.ūñgā magar
khīñch laayā terī jānib iztirāb-e-dil mujhe
jalva vaj.h-e-be-ḳhudī o shauq vajh-e-iztirāb
mutma.in hone nahīñ detī koī mushkil mujhe
bahr-e-ulfat meñ mirī nākāmiyāñ uf al-amāñ
DhūñDhtā huuñ har taraf miltā nahīñ sāhil mujhe
uf kisī karvaT qarār aatā nahīñ shām-e-alam
kar diyā hai dard-e-dil ne is qadar bismil mujhe
rang laanā thā na laayā merā ḳhūn-e-ārzū
hashr meñ honā paḌā sharminda-e-qātil mujhe
phir usī pur-kaif aalam kī hai mujh ko justujū
phir vahī naġhma sunā de ai navā-e-dil mujhe
khul na jaa.e rāz-e-ulfat ahl-e-mahfil par kahīñ
aap rah rah kar na dekheñ yuuñ sar-e-mahfil mujhe
aa ga.e ashk-e-nadāmat un kī āñkhoñ meñ 'fazā'
dekhiye ab kyā dikhā.e jazba-e-kāmil mujhe
DhunDne KHud hi chala aata sukun-e-dil mujhe
hae-qismat tu ne rakha bhi kisi qabil mujhe
iztirab-e-shauq kahta hai abhi chalte raho
de rahi hai dawat-e-KHatm-e-safar manzil mujhe
main to ye tai kar chuka tha ab na aaunga magar
khinch laya teri jaanib iztirab-e-dil mujhe
jalwa wajh-e-be-KHudi o shauq wajh-e-iztirab
mutmain hone nahin deti koi mushkil mujhe
bahr-e-ulfat mein meri nakaamiyan uf al-aman
DhunDhta hun har taraf milta nahin sahil mujhe
uf kisi karwaT qarar aata nahin sham-e-alam
kar diya hai dard-e-dil ne is qadar bismil mujhe
rang lana tha na laya mera KHun-e-arzu
hashr mein hona paDa sharminda-e-qatil mujhe
phir usi pur-kaif aalam ki hai mujh ko justuju
phir wahi naghma suna de ai nawa-e-dil mujhe
khul na jae raaz-e-ulfat ahl-e-mahfil par kahin
aap rah rah kar na dekhen yun sar-e-mahfil mujhe
aa gae ashk-e-nadamat un ki aankhon mein 'faza'
dekhiye ab kya dikhae jazba-e-kaamil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.