DhunDne walon ko bhi kya na mila
DhūñDne vāloñ ko bhī kyā na milā
jhuuT kahte ho tum ḳhudā na milā
ik faqat terā aasrā thā mujhe
ik faqat terā aasrā na milā
shash-jihat meñ ye ham ne dekhā hai
koī bhī aap ke sivā na milā
jis meñ ham ḳhud ko dekh sakte kabhī
koī bhī aisā aa.ina na milā
sarguzisht ham ne kah to dī lekin
koī bhī dard-āshnā na milā
muflisī merī dekh kar hī 'zohaib'
aaj mujh se vo dilrubā na milā
DhunDne walon ko bhi kya na mila
jhuT kahte ho tum KHuda na mila
ek faqat tera aasra tha mujhe
ek faqat tera aasra na mila
shash-jihat mein ye hum ne dekha hai
koi bhi aap ke siwa na mila
jis mein hum KHud ko dekh sakte kabhi
koi bhi aisa aaina na mila
sarguzisht hum ne kah to di lekin
koi bhi dard-ashna na mila
muflisi meri dekh kar hi 'zohaib'
aaj mujh se wo dilruba na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.