DhunDte ho dil-e-figar mein kya
DhūñDte ho dil-e-figār meñ kyā
ho bhī saktā hai is mazār meñ kyā
lafz karte haiñ raqs chāroñ taraf
likhtā rahtā huuñ maiñ ḳhumār meñ kyā
martabe rif.ateñ maqām aur naam
aur hotā hai inkisār meñ kyā
chand sāñsoñ kī mohlatoñ ke evaz
us ne baḳhshā hai intizār meñ kyā
kis kī ḳhushbū mujhe bulātī hai
koī mahkā mire madār meñ kyā
jin kī miTTī ḳhizāñ se uTThī ho
mil sakegā unheñ bahār meñ kyā
chiḌh hai kyoñ ittihād se tum ko
dost barakat hai intishār meñ kyā
Dāchī vaale chale ga.e kab ke
sar khapāoge ab ġhubār meñ kyā
saath le kar nahīñ gayā kuchh maiñ
DhūñDte ho mire mazār meñ kyā
raat Duubī hai kyoñ añdhere meñ
chāñd niklā nahīñ dayār meñ kyā
DhunDte ho dil-e-figar mein kya
ho bhi sakta hai is mazar mein kya
lafz karte hain raqs chaaron taraf
likhta rahta hun main KHumar mein kya
martabe rifaten maqam aur nam
aur hota hai inkisar mein kya
chand sanson ki mohlaton ke ewaz
us ne baKHsha hai intizar mein kya
kis ki KHushbu mujhe bulati hai
koi mahka mere madar mein kya
jin ki miTTi KHizan se uTThi ho
mil sakega unhen bahaar mein kya
chiDh hai kyon ittihad se tum ko
dost barakat hai intishaar mein kya
Dachi wale chale gae kab ke
sar khapaoge ab ghubar mein kya
sath le kar nahin gaya kuchh main
DhunDte ho mere mazar mein kya
raat Dubi hai kyon andhere mein
chand nikla nahin dayar mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.