dhup aai nahin makan mein kya
dhuup aa.ī nahīñ makān meñ kyā
abr gahrā hai āsmān meñ kyā
aah kyuuñ be-sadā hai hoñToñ par
lafz baaqī nahīñ zabān meñ kyā
ho gayā nīlgūñ badan saarā
tiir zahrīle the kamān meñ kyā
saare kirdār saath chhoḌ ga.e
aa gayā moḌ dāstān meñ kyā
jhulsā jhulsā hai kyuuñ badan saarā
aa ga.ī dhuup sā.ebān meñ kyā
nā-shanāsā hai chāñd se kyuuñ dil
sirf taarā thā āsmān meñ kyā
roz-o-shab kis kī raah taktī ho
'mīnā' ab tak hai kuchh gumān meñ kyā
dhup aai nahin makan mein kya
abr gahra hai aasman mein kya
aah kyun be-sada hai honTon par
lafz baqi nahin zaban mein kya
ho gaya nilgun badan sara
tir zahrile the kaman mein kya
sare kirdar sath chhoD gae
aa gaya moD dastan mein kya
jhulsa jhulsa hai kyun badan sara
aa gai dhup saeban mein kya
na-shanasa hai chand se kyun dil
sirf tara tha aasman mein kya
roz-o-shab kis ki rah takti ho
'mina' ab tak hai kuchh guman mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.