dhup barish hawa kamar-basta
dhuup bārish havā kamar-basta
aur darīche meñ ek guldasta
peḌ se peḌ kaT gayā varna
kyā kulhāḌī agar na ho dasta
ġham se aise niDhāl huuñ jaise
ek bachche kī piiTh par basta
bārishoñ kī duā.eñ māñgī haiñ
aur dīvār ghar kī hai ḳhasta
ek jugnū thā aas kī sūrat
bhar gayā raushnī se sab rasta
bāñdh rakkhā hai kab se raḳht-e-safar
kabhī āvāz de koī rasta
baat ḳhushbū kī thī magar 'fārūq'
dhyān aayā kisī kā barjasta
dhup barish hawa kamar-basta
aur dariche mein ek guldasta
peD se peD kaT gaya warna
kya kulhaDi agar na ho dasta
gham se aise niDhaal hun jaise
ek bachche ki piTh par basta
barishon ki duaen mangi hain
aur diwar ghar ki hai KHasta
ek jugnu tha aas ki surat
bhar gaya raushni se sab rasta
bandh rakkha hai kab se raKHt-e-safar
kabhi aawaz de koi rasta
baat KHushbu ki thi magar 'faruq'
dhyan aaya kisi ka barjasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.