dhup chamki raat ki taswir pili ho gai
dhuup chamkī raat kī tasvīr piilī ho ga.ī
din gayā aur sard tārīkī nukīlī ho ga.ī
jaane kis kī justujū meñ is qadar ghūmā kiye
ham javāñ mardoñ kī har poshāk Dhīlī ho ga.ī
mai-kada se ghar kī jānib ḳhud-ba-ḳhud kyuuñ aa ga.e
sard kamre kī fazā kyā phir nashīlī ho ga.ī
ham sarāboñ ke safar ke is qadar aadī hue
jal-bharī nadiyoñ kī lazzat bhī kasīlī ho ga.ī
ḳhushnumā dīvār-o-dar ke ḳhvāb hī dekhā kiye
jism sahrā zehn vīrāñ aañkh giilī ho ga.ī
dhup chamki raat ki taswir pili ho gai
din gaya aur sard tariki nukili ho gai
jaane kis ki justuju mein is qadar ghuma kiye
hum jawan mardon ki har poshak Dhili ho gai
mai-kada se ghar ki jaanib KHud-ba-KHud kyun aa gae
sard kamre ki faza kya phir nashili ho gai
hum sarabon ke safar ke is qadar aadi hue
jal-bhari nadiyon ki lazzat bhi kasili ho gai
KHushnuma diwar-o-dar ke KHwab hi dekha kiye
jism sahra zehn viran aankh gili ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.