dhup Dhal jati hai sae pe zawal aata hai
dhuup Dhal jaatī hai saa.e pe zavāl aatā hai
miTne lagtā huuñ to banñe kā ḳhayāl aatā hai
raat kaT jaatī hai āñkhoñ ko charāġhāñ karte
din nikaltā hai to chehre pe jamāl aatā hai
pahle uḌtā hai mohabbat ke chaman meñ tanhā
phir kisī shaam bahut ho ke niDhāl aatā hai
pahle jam jaatā hai āñkhoñ ke darīche meñ kahīñ
phir mire ḳhuun meñ ik dam se uchhāl aatā hai
jab maiñ kahtā huuñ mohabbat se mohabbat kar lo
mujh se kahtā hai ki is par bhī zavāl aatā hai
jangaloñ se jo guzartā huuñ to aatī hai sadā
peḌ paudhoñ ko bhī rone kā kamāl aatā hai
maiñ chalā jaatā huuñ sayyād kā sāthī ban kar
pīchhe pīchhe mire sayyād kā jaal aatā hai
dhup Dhal jati hai sae pe zawal aata hai
miTne lagta hun to banne ka KHayal aata hai
raat kaT jati hai aankhon ko charaghan karte
din nikalta hai to chehre pe jamal aata hai
pahle uDta hai mohabbat ke chaman mein tanha
phir kisi sham bahut ho ke niDhaal aata hai
pahle jam jata hai aankhon ke dariche mein kahin
phir mere KHun mein ek dam se uchhaal aata hai
jab main kahta hun mohabbat se mohabbat kar lo
mujh se kahta hai ki is par bhi zawal aata hai
jangalon se jo guzarta hun to aati hai sada
peD paudhon ko bhi rone ka kamal aata hai
main chala jata hun sayyaad ka sathi ban kar
pichhe pichhe mere sayyaad ka jal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.