dhup Dhali to sham hui
dhuup Dhalī to shaam huī
goyā umr tamām huī
bārish pyāse sahrā meñ
haif barā.e-nām huī
kyā lāzim aslī ho chiiz
shohrat jis kī aam huī
zālim kī bedād-garī
mazlūmoñ ke naam huī
yādoñ ne jab dastak dī
mīThī niiñd harām huī
qismat hī ne muñh moḌā
har koshish nākām huī
'nāz' kahūñ kyā umr mirī
nazr-e-ḳhayāl-e-ḳhām huī
dhup Dhali to sham hui
goya umr tamam hui
barish pyase sahra mein
haif barae-nam hui
kya lazim asli ho chiz
shohrat jis ki aam hui
zalim ki bedad-gari
mazlumon ke nam hui
yaadon ne jab dastak di
miThi nind haram hui
qismat hi ne munh moDa
har koshish nakaam hui
'naz' kahun kya umr meri
nazr-e-KHayal-e-KHam hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.