dhup ho ki chha jae phir ghaTa jo tum kah do
dhuup ho ki chhā jaa.e phir ghaTā jo tum kah do
ḳhvāhisheñ hamārī ab aur kyā jo tum kah do
kuchh udaas ġhazloñ ke harf maiñ badal Dālūñ
aao ḳhatm kar leñ ye fāsla jo tum kah do
tum faqat hamāre ho kah diyā raqīboñ se
sab yaqīn kar leñge ik zarā jo tum kah do
ilm hai kahāñ sab ko kyā bhalā burā kyā hai
vo bhalā jo tum kah do vo burā jo tum kah do
mat kaho ġhulāmī tum ye vafā hamārī hai
chhoḌ deñ jahāñ saarā talḳhiyāñ jo tum kah do
dhup ho ki chha jae phir ghaTa jo tum kah do
KHwahishen hamari ab aur kya jo tum kah do
kuchh udas ghazlon ke harf main badal Dalun
aao KHatm kar len ye fasla jo tum kah do
tum faqat hamare ho kah diya raqibon se
sab yaqin kar lenge ek zara jo tum kah do
ilm hai kahan sab ko kya bhala bura kya hai
wo bhala jo tum kah do wo bura jo tum kah do
mat kaho ghulami tum ye wafa hamari hai
chhoD den jahan sara talKHiyan jo tum kah do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.