dhup jis shaKHs ke makan mein hai
dhuup jis shaḳhs ke makān meñ hai
vo ujāloñ ke sā.ebān meñ hai
kis kī jānib nazar uThā.ūñ maiñ
tujh sā koī kahāñ jahān meñ hai
ik anā ke sivā nahīñ kuchh bhī
jo mire tere darmiyān meñ hai
haiñ tabassum ke phuul hoñToñ par
ḳhār-e-tishna-labī zabān meñ hai
kis tarah tujh ko ġhair kah duuñ maiñ
ik yahī sach mire bayān meñ hai
zindagī se jo kal pareshāñ thā
ab vo insāñ na.e makān meñ hai
ham bhulā.eñge kis tarah us ko
vo to pinhāñ hamārī jaan meñ hai
kal jo Thokar meñ thā zamāne kī
aaj vo shaḳhs ān-bān meñ hai
kyoñ zamāna mire ḳhilāf nahīñ
tiir shāyad abhī kamān meñ hai
jis ko jo chāhe baḳhsh de us ko
vasf ye to ḳhudā kī shaan meñ hai
maiñ huuñ urdu zabān kā shā.ir
lutf kitnā mirī zabān meñ hai
jab se un kī nazar meñ hai 'mashkūr'
zindagī har nafas amaan meñ hai
dhup jis shaKHs ke makan mein hai
wo ujalon ke saeban mein hai
kis ki jaanib nazar uThaun main
tujh sa koi kahan jahan mein hai
ek ana ke siwa nahin kuchh bhi
jo mere tere darmiyan mein hai
hain tabassum ke phul honTon par
KHar-e-tishna-labi zaban mein hai
kis tarah tujh ko ghair kah dun main
ek yahi sach mere bayan mein hai
zindagi se jo kal pareshan tha
ab wo insan nae makan mein hai
hum bhulaenge kis tarah us ko
wo to pinhan hamari jaan mein hai
kal jo Thokar mein tha zamane ki
aaj wo shaKHs aan-ban mein hai
kyon zamana mere KHilaf nahin
tir shayad abhi kaman mein hai
jis ko jo chahe baKHsh de us ko
wasf ye to KHuda ki shan mein hai
main hun urdu zaban ka shair
lutf kitna meri zaban mein hai
jab se un ki nazar mein hai 'mashkur'
zindagi har nafas aman mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.