dhup ka bojh bhala maine uThaya kab tha
dhuup kā bojh bhalā maiñ ne uThāyā kab thā
maiñ to tanhā thā mirī zaat kā saayā kab thā
itne mānūs hue ġham se ki ab yaad nahīñ
vaqt ne dard kā ambār lagāyā kab thā
shaam utrī mire chehre pe to sochā maiñ ne
din mirī ziist ke āñgan meñ samāyā kab thā
dard baḌhtā hai to zaḳhmoñ se maiñ kartā huuñ savāl
sang maiñ ne kisī vahshī pe uThāyā kab thā
ab bhī hai sub.h mirī aañkh meñ zaḳhmī zaḳhmī
kaun kahtā hai ki maiñ shab kā satāyā kab thā
dhup ka bojh bhala main ne uThaya kab tha
main to tanha tha meri zat ka saya kab tha
itne manus hue gham se ki ab yaad nahin
waqt ne dard ka ambar lagaya kab tha
sham utri mere chehre pe to socha main ne
din meri zist ke aangan mein samaya kab tha
dard baDhta hai to zaKHmon se main karta hun sawal
sang main ne kisi wahshi pe uThaya kab tha
ab bhi hai subh meri aankh mein zaKHmi zaKHmi
kaun kahta hai ki main shab ka sataya kab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.