dhup ka nam jo hai saya to saya hi sahi
dhuup kā naam jo hai saaya to saaya hī sahī
aap kahte haiñ agar aisā to aisā hī sahī
ham bhī jiine kā mohabbat meñ tamāsha kar leñ
zindagī jo hai tamāsha to tamāsha hī sahī
kyuuñ na ye marte hue lamhe ġhanīmat jānūñ
lamhoñ kā aisā hī hai lāsha to lāsha hī sahī
ġhair hī qatl kare mujh ko zarūrī to nahīñ
merā qātil hai shanāsā to shanāsā hī sahī
ham ne kab ishq ko samjhā hai tijārat jānāñ
ishq tum se hai ḳhasāra to ḳhasāra hī sahī
pyaar to kar ke nibhā luuñ maiñ qasam se 'ḳhanda'
pyaar gar vahm hai dhoka hai to dhokā hī sahī
dhup ka nam jo hai saya to saya hi sahi
aap kahte hain agar aisa to aisa hi sahi
hum bhi jine ka mohabbat mein tamasha kar len
zindagi jo hai tamasha to tamasha hi sahi
kyun na ye marte hue lamhe ghanimat jaanun
lamhon ka aisa hi hai lasha to lasha hi sahi
ghair hi qatl kare mujh ko zaruri to nahin
mera qatil hai shanasa to shanasa hi sahi
hum ne kab ishq ko samjha hai tijarat jaanan
ishq tum se hai KHasara to KHasara hi sahi
pyar to kar ke nibha lun main qasam se 'KHanda'
pyar gar wahm hai dhoka hai to dhoka hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.