dhup ka saeban hai pyare
dhuup kā sā.ebān hai pyāre
ziist ġham kī dukān hai pyāre
dil-e-vahshat kā haal mat pūchho
koī ujḌā makān hai pyāre
ye tirā 'aks hai ki tū ḳhud hai
yā hamārā gumān hai pyāre
naam rah jā.egā ḳhudā kā bas
aadmī be-nishān hai pyāre
koī hājat nahīñ ba-juz is ke
tū agar mehrbān hai pyāre
ārzūeñ ġhazal meñ Dhaltī haiñ
chāhatoñ kī zabān hai pyāre
dhup ka saeban hai pyare
zist gham ki dukan hai pyare
dil-e-wahshat ka haal mat puchho
koi ujDa makan hai pyare
ye tera 'aks hai ki tu KHud hai
ya hamara guman hai pyare
nam rah jaega KHuda ka bas
aadmi be-nishan hai pyare
koi hajat nahin ba-juz is ke
tu agar mehrban hai pyare
aarzuen ghazal mein Dhalti hain
chahaton ki zaban hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.