dhup kamre mein chali aai thi
dhuup kamre meñ chalī aa.ī thī
jab darīche se shanāsā.ī thī
shahr kā shahr umaD aaya thā
kyā ajab pursish-e-tanhā.ī thī
maiñ ne shamshīr banā lī us se
tum ne zanjīr jo pahnā.ī thī
kuchh to badlā hai bichhaḌ kar us se
raat kyoñ niiñd nahīñ aa.ī thī
shahr-e-girya ke shab-o-roz na pūchh
raat ke baa'd bhī raat aa.ī thī
tum ne samjhā thā navāzish jis ko
vo to zaḳhmoñ kī pazīrā.ī thī
us ne āñkhoñ se pukārā thā mujhe
merī lafzoñ se shanāsā.ī thī
vo to kaam aa ga.ī vahshat 'tāriq'
varna rusvā.ī hī rusvā.ī thī
dhup kamre mein chali aai thi
jab dariche se shanasai thi
shahr ka shahr umaD aaya tha
kya ajab pursish-e-tanhai thi
main ne shamshir bana li us se
tum ne zanjir jo pahnai thi
kuchh to badla hai bichhaD kar us se
raat kyon nind nahin aai thi
shahr-e-girya ke shab-o-roz na puchh
raat ke ba'd bhi raat aai thi
tum ne samjha tha nawazish jis ko
wo to zaKHmon ki pazirai thi
us ne aankhon se pukara tha mujhe
meri lafzon se shanasai thi
wo to kaam aa gai wahshat 'tariq'
warna ruswai hi ruswai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.