dhup ke dasht mein be-saya shajar mein hum the
dhuup ke dasht meñ be-sāya shajar meñ ham the
munhamik phir bhī sarāboñ ke safar meñ ham the
muntashir kar chukī āñdhī to ye ma.alūm huā
ik bagūle kī tarah ret ke ghar meñ ham the
terī āvāz ke jaadū ne ḳhabar-dār kiyā
nā-samajh the ki balāoñ ke asar meñ ham the
tā na shākī rahe dariyā-e-havas kī koī mauj
bādbāñ jism ke khole ki bhañvar meñ ham the
ye tire qurb kā e.ajāz hai varna pahle
taaq itne kahāñ jiine ke hunar meñ ham the
dhup ke dasht mein be-saya shajar mein hum the
munhamik phir bhi sarabon ke safar mein hum the
muntashir kar chuki aandhi to ye malum hua
ek bagule ki tarah ret ke ghar mein hum the
teri aawaz ke jadu ne KHabar-dar kiya
na-samajh the ki balaon ke asar mein hum the
ta na shaki rahe dariya-e-hawas ki koi mauj
baadban jism ke khole ki bhanwar mein hum the
ye tere qurb ka eajaz hai warna pahle
taq itne kahan jine ke hunar mein hum the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.