dhup khiDki se sirhane aai
dhuup khiḌkī se sirhāne aa.ī
chāñd ḳhvāboñ ke bujhāne aa.ī
haa.e vo phuul se hañste chehre
yaad phir un kī rulāne aa.ī
dil charāġhoñ ke abhī larzāñ haiñ
phir havā hosh uḌāne aa.ī
dil sulagtā thā shab-e-ġham yūñhī
chāñdnī aur jalāne aa.ī
uTh huī sub.h-e-azāñ kī āvāz
niiñd se mujh ko jagāne aa.ī
oḌh lī tū ne barahna tahzīb
sharm tujh ko na zamāne aa.ī
aur 'parvīn' se hujjat kiije
aap kī aql Thikāne aa.ī
dhup khiDki se sirhane aai
chand KHwabon ke bujhane aai
hae wo phul se hanste chehre
yaad phir un ki rulane aai
dil charaghon ke abhi larzan hain
phir hawa hosh uDane aai
dil sulagta tha shab-e-gham yunhi
chandni aur jalane aai
uTh hui subh-e-azan ki aawaz
nind se mujh ko jagane aai
oDh li tu ne barahna tahzib
sharm tujh ko na zamane aai
aur 'parwin' se hujjat kije
aap ki aql Thikane aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.