Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal

Sultan Rashk

dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal

Sultan Rashk

MORE BYSultan Rashk

    dhuup shiddat meñ nañge paañv nañge sar nikal

    ai dil-e-sāda savād-e-jabr se bāhar nikal

    kal sūraj shād-kāmī ḳhabar de na de

    chhoḌ andeshe hisār-e-zāt se bāhar nikal

    maiñ ka.ī sadiyoñ se gum huuñ ḳhvāb ke sakrāt meñ

    āftāb-e-sub.h-e-bedārī mire sar par nikal

    sāhiloñ par tere istiqbāl ko aayā hai kaun

    Dūbne vaale ubhar phir sat.h-e-dariyā par nikal

    'ahd dār-o-gīr hai apnā tashaḳhḳhus gum na kar

    soch saarī fasīleñ toḌ kar bāhar nikal

    tīsrī duniyā munavvar ho mire afkār se

    mehr-e-āzādī mire ehsās ke andar nikal

    apne ḳhadd-o-ḳhāl dekhūñ maiñ bhī ai sultān-'rashk'

    merī āñkhoñ se magar ai ḳhvāb ke manzar nikal

    dhup ki shiddat mein nange panw nange sar nikal

    ai dil-e-sada sawad-e-jabr se bahar nikal

    kal ka suraj shad-kaami ki KHabar de ya na de

    chhoD andeshe hisar-e-zat se bahar nikal

    main kai sadiyon se gum hun KHwab ke sakraat mein

    aaftab-e-subh-e-bedari mere sar par nikal

    sahilon par tere istiqbaal ko aaya hai kaun

    Dubne wale ubhar phir sath-e-dariya par nikal

    'ahd dar-o-gir hai apna tashaKHKHus gum na kar

    soch ki sari fasilen toD kar bahar nikal

    tisri duniya munawwar ho mere afkar se

    mehr-e-azadi mere ehsas ke andar nikal

    apne KHadd-o-KHal dekhun main bhi ai sultan-'rashk'

    meri aankhon se magar ai KHwab ke manzar nikal

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sultan Rashk

    Sultan Rashk

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now