dhup ko chhanw likhun sang ko shisha likkhun
dhuup ko chhāñv likhūñ sang ko shīsha likkhūñ
maslahat kā hai taqāzā tujhe achchhā likkhūñ
kaun hai merī tabāhī kā sabab kyā likhūñ
merā ḳhāma hai ba-zid naam tumhārā likkhūñ
justujū merī safar hī meñ rahegī kab tak
ab to mil jaa.e koī jis ko maiñ apnā likkhūñ
be-ġharaz mujh pe nahīñ karte karam ahl-e-karam
aur ġharaz ye hai ki maiñ un kā qasīda likkhūñ
maiñ ne bechā hai na bechūñgā kabhī apnā zamīr
ġhair mumkin hai ki qatre ko maiñ dariyā likkhūñ
ḳhud ubhar aa.egī qirtās pe nāyāb ġhazal
rū-barū baiTh ki maiñ terā sarāpā likkhūñ
apne maazī kā qasīda to bahut likkhā 'habīb'
dil meñ aatā hai ki ab haal kā nauha likkhūñ
dhup ko chhanw likhun sang ko shisha likkhun
maslahat ka hai taqaza tujhe achchha likkhun
kaun hai meri tabahi ka sabab kya likhun
mera KHama hai ba-zid nam tumhaara likkhun
justuju meri safar hi mein rahegi kab tak
ab to mil jae koi jis ko main apna likkhun
be-gharaz mujh pe nahin karte karam ahl-e-karam
aur gharaz ye hai ki main un ka qasida likkhun
main ne becha hai na bechunga kabhi apna zamir
ghair mumkin hai ki qatre ko main dariya likkhun
KHud ubhar aaegi qirtas pe nayab ghazal
ru-baru baiTh ki main tera sarapa likkhun
apne mazi ka qasida to bahut likkha 'habib'
dil mein aata hai ki ab haal ka nauha likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.