dhup ko kuchh aur jalna chahiye
dhuup ko kuchh aur jalnā chāhiye
jism kā saaya pighalnā chāhiye
chīTiyāñ chalne lagī haiñ piiTh meñ
ab tumhārā tiir chalnā chāhiye
god suunī ho chalī hai aañkh kī
ab to koī ḳhvāb palnā chāhiye
ġham bayāñ ho pyaas kā kuchh is tarah
ret se paanī nikalnā chāhiye
bandagī kī lau ho aisī jis meñ ki
sañg-e-marmar tak pighalnā chāhiye
ham badan kī bandishoñ se duur haiñ
ruuh meñ tum ko bhī Dhalnā chāhiye
ab zabāñ tak aa ga.iiñ hai talḳhiyāñ
ab hameñ fauran nikalnā chāhiye
dhup ko kuchh aur jalna chahiye
jism ka saya pighalna chahiye
chiTiyan chalne lagi hain piTh mein
ab tumhaara tir chalna chahiye
god suni ho chali hai aankh ki
ab to koi KHwab palna chahiye
gham bayan ho pyas ka kuchh is tarah
ret se pani nikalna chahiye
bandagi ki lau ho aisi jis mein ki
sang-e-marmar tak pighalna chahiye
hum badan ki bandishon se dur hain
ruh mein tum ko bhi Dhalna chahiye
ab zaban tak aa gain hai talKHiyan
ab hamein fauran nikalna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.