dhup luTa kar ambar jab kangal hua
dhuup luTā kar ambar jab kañgāl huā
chāñd ugā kar phir se mālā-māl huā
sāñjh phisal kar DevḌhī par aa laTkī hai
āñgan se chaubāre tak sab laal huā
yaad vahīñ ThiThkī hai jahāñ tum chhoḌ ga.e
lamha din saptāh mahīna saal huā
dhuup aTak kar baiThā ga.ī hai chhajje par
osāre kā uThnā aaj muhāl huā
chun chun kar vo detā thā har dard mujhe
choT lagī jab ḳhud ko to behāl huā
kal tak jo detā thā utar prashnoñ kā
aaj vahī uljhā sā ek savāl huā
chhuTpan meñ jis kī sañgat thī chain mirā
umr baḌhī to vo jī kā janjāl huā
dhup luTa kar ambar jab kangal hua
chand uga kar phir se mala-mal hua
sanjh phisal kar DewDhi par aa laTki hai
aangan se chaubare tak sab lal hua
yaad wahin ThiThki hai jahan tum chhoD gae
lamha din saptah mahina sal hua
dhup aTak kar baiTha gai hai chhajje par
osare ka uThna aaj muhaal hua
chun chun kar wo deta tha har dard mujhe
choT lagi jab KHud ko to behaal hua
kal tak jo deta tha utar prashnon ka
aaj wahi uljha sa ek sawal hua
chhuTpan mein jis ki sangat thi chain mera
umr baDhi to wo ji ka janjal hua
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.