dhup mein baiThe hain bachche hath mein chhagal liye
dhuup meñ baiThe haiñ bachche haath meñ chhāgal liye
so ga.iiñ shāyad havā.eñ god meñ bādal liye
aa rahā hai chup ke tālāboñ meñ patthar pheñktā
ik julūs-e-kaudkāñ ko saath ik pāgal liye
in añdherī bastiyoñ meñ rakh na darvāza khulā
kaun aatā hai yahāñ apnā.ī kī mash.al liye
zaat meñ gum-sum yūñhī saḌkoñ pe din bhar ghūmnā
aur shab ko sochnā pahlū meñ dil be-kal liye
kyā ajab us par mahak hī jaa.eñ darmāñ ke gulāb
hai to ik shāḳh-e-nazar ummīd kī koñpal liye
aaj tak be-samtiyoñ kī rah-ravī ne kyā diyā
ab zarā dam le bhī lo 'bazmī' bahut kuchh chal liye
dhup mein baiThe hain bachche hath mein chhagal liye
so gain shayad hawaen god mein baadal liye
aa raha hai chup ke talabon mein patthar phenkta
ek julus-e-kaudkan ko sath ek pagal liye
in andheri bastiyon mein rakh na darwaza khula
kaun aata hai yahan apnai ki mashal liye
zat mein gum-sum yunhi saDkon pe din bhar ghumna
aur shab ko sochna pahlu mein dil be-kal liye
kya ajab us par mahak hi jaen darman ke gulab
hai to ek shaKH-e-nazar ummid ki konpal liye
aaj tak be-samtiyon ki rah-rawi ne kya diya
ab zara dam le bhi lo 'bazmi' bahut kuchh chal liye
- Book : Muntakhab Gazle.n (Pg. 49)
- Author : Nasir Zaidi
- Publication : Zahid Malik (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.