Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup mein baiThne ke din aae

Sunil Aftab

dhup mein baiThne ke din aae

Sunil Aftab

MORE BYSunil Aftab

    dhuup meñ baiThne ke din aa.e

    phir use sochne ke din aa.e

    band kamroñ meñ jhāñktī kirneñ

    khiḌkiyāñ kholne ke din aa.e

    dhaan khetiyāñ sunahrī haiñ

    gaañv meñ lauTne ke din aa.e

    ba.ad muddat vo shahr meñ aayā

    aa.ina dekhne ke din aa.e

    phir koī yaad taaza hone lagī

    raat bhar jāgne ke din aa.e

    dhup mein baiThne ke din aae

    phir use sochne ke din aae

    band kamron mein jhankti kirnen

    khiDkiyan kholne ke din aae

    dhan ki khetiyan sunahri hain

    ganw mein lauTne ke din aae

    baad muddat wo shahr mein aaya

    aaina dekhne ke din aae

    phir koi yaad taza hone lagi

    raat bhar jagne ke din aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now