dhup mein chhanw mein maujud hai unsur mera
dhuup meñ chhāñv meñ maujūd hai unsur merā
ek paikar meñ kahāñ qaid hai paikar merā
aks par us ke fidā hai dil-e-muztar merā
maiñ ne dekhā bhī nahīñ hai abhī dilbar merā
khiḌkiyāñ band rakhūñ kholūñ na darvāza bhī
koī haq hī nahīñ jaise mere ghar par merā
munqata.a ho gayā har rābta un se phir bhī
zikr ab bhī vo kiyā karte haiñ aksar merā
merī kashtī ko kināroñ ne Duboyā āḳhir
haath meñ haath liyā us ne bhī baḌh kar merā
dhuup Dhalne hī ko thī raat ke saa.e meñ 'sahar'
aa ke kis moḌ pe bigḌā hai muqaddar merā
dhup mein chhanw mein maujud hai unsur mera
ek paikar mein kahan qaid hai paikar mera
aks par us ke fida hai dil-e-muztar mera
main ne dekha bhi nahin hai abhi dilbar mera
khiDkiyan band rakhun kholun na darwaza bhi
koi haq hi nahin jaise mere ghar par mera
munqata ho gaya har rabta un se phir bhi
zikr ab bhi wo kiya karte hain aksar mera
meri kashti ko kinaron ne Duboya aaKHir
hath mein hath liya us ne bhi baDh kar mera
dhup Dhalne hi ko thi raat ke sae mein 'sahar'
aa ke kis moD pe bigDa hai muqaddar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.