dhup mein jalte hain tab saya banta hai
dhuup meñ jalte haiñ tab saaya bantā hai
baḌe jatan se koī apnā bantā hai
saare bikhre ḳhvāb ikaTThā karne par
ek mukammal terā chehra bantā hai
ghar ke donoñ jānib dar lagvā.e haiñ
ab to terā dastak denā bantā hai
pyaar karo to ek ḳharābī ye bhī hai
had darje kā yaar tamāshā bantā hai
us kā pahlū sirf mayassar hai mujh ko
ya.anī merā itnā banñā bantā hai
dhup mein jalte hain tab saya banta hai
baDe jatan se koi apna banta hai
sare bikhre KHwab ikaTTha karne par
ek mukammal tera chehra banta hai
ghar ke donon jaanib dar lagwae hain
ab to tera dastak dena banta hai
pyar karo to ek KHarabi ye bhi hai
had darje ka yar tamasha banta hai
us ka pahlu sirf mayassar hai mujh ko
yani mera itna banna banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.