dhup mein nahae the raushni ke pahre the
dhuup meñ nahā.e the raushnī ke pahre the
phir bhī un daraḳhtoñ ke saa.e kitne gahre the
dekhtā rahā mujh ko aa.ina bhī hairat se
aaj mere chehre meñ jazb kitne chehre the
in dinoñ to ḳhushiyoñ ke rañg bhī haiñ afsurda
un dinoñ udāsī ke rañg bhī sunahre the
vaqt-e-qatl chīḳhā maiñ koī kuchh nahīñ bolā
log merī bastī ke gūñge aur bahre the
maiñ vo ek shāhzāda jis kī ik havelī thī
aur us havelī ke chaar samt pahre the
vaqt ne badan apnā kar diyā hai shal varna
ham bhī terī umroñ meñ shaad the chharhare the
ishq vo laḌakpan kā kyā hī lutf detā thā
shab-barāt thiiñ rāteñ aur din dashahre the
aap jis ilāqe meñ ek pal na rah paa.e
ham usī ilāqe meñ ek umr Thahre the
dhup mein nahae the raushni ke pahre the
phir bhi un daraKHton ke sae kitne gahre the
dekhta raha mujh ko aaina bhi hairat se
aaj mere chehre mein jazb kitne chehre the
in dinon to KHushiyon ke rang bhi hain afsurda
un dinon udasi ke rang bhi sunahre the
waqt-e-qatl chiKHa main koi kuchh nahin bola
log meri basti ke gunge aur bahre the
main wo ek shahzada jis ki ek haweli thi
aur us haweli ke chaar samt pahre the
waqt ne badan apna kar diya hai shal warna
hum bhi teri umron mein shad the chharhare the
ishq wo laDakpan ka kya hi lutf deta tha
shab-baraat thin raaten aur din dashahre the
aap jis ilaqe mein ek pal na rah pae
hum usi ilaqe mein ek umr Thahre the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.