dhup mein saeban de mujhko
dhuup meñ sā.ebān de mujh ko
nīm-murda huuñ jaan de mujh ko
shahr jo kal thā aaj hai maqtal
kaise koī amaan de mujh ko
fitna-parvar jahāñ se huuñ bezār
ik nayā āsmān de mujh ko
jin kī ta.abīr hoñ sulagte sarāb
tū na aise kamān de mujh ko
ye darindoñ kā hai ghanā jangal
koī ūñchā machān de mujh ko
ilm-o-fan se navāz kar mālik
ik na.ī ān-bān de mujh ko
ho hukūmat jahāñ mohabbat kī
koī aisā jahān de mujh ko
tujh ko 'shahzar' se gar mohabbat hai
pyaar kā imtihān de mujh ko
dhup mein saeban de mujh ko
nim-murda hun jaan de mujh ko
shahr jo kal tha aaj hai maqtal
kaise koi aman de mujh ko
fitna-parwar jahan se hun bezar
ek naya aasman de mujh ko
jin ki tabir hon sulagte sarab
tu na aise kaman de mujh ko
ye darindon ka hai ghana jangal
koi uncha machan de mujh ko
ilm-o-fan se nawaz kar malik
ek nai aan-ban de mujh ko
ho hukumat jahan mohabbat ki
koi aisa jahan de mujh ko
tujh ko 'shahzar' se gar mohabbat hai
pyar ka imtihan de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.