dhup mein sath hai ghaTa ki tarah
dhuup meñ saath hai ghaTā kī tarah
tū mere lab pe hai duā kī tarah
muskurānā tirā duā kī tarah
ruuTh jaanā kisī sazā kī tarah
tere chehre se merī nazroñ kā
vāsta haath aur hinā kī tarah
us ko lauTā diyā nigāhoñ ne
ashk thā aañkh meñ ḳhatā kī tarah
aur ik baat mere lab pe hai
aur na samjhegā tū sadā kī tarah
dhup mein sath hai ghaTa ki tarah
tu mere lab pe hai dua ki tarah
muskurana tera dua ki tarah
ruTh jaana kisi saza ki tarah
tere chehre se meri nazron ka
wasta hath aur hina ki tarah
us ko lauTa diya nigahon ne
ashk tha aankh mein KHata ki tarah
aur ek baat mere lab pe hai
aur na samjhega tu sada ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.