dhup pe kaisi gard paDi hai
dhuup pe kaisī gard paḌī hai
din hai chhoTā raat baḌī hai
us ke hit kā tarz-e-nigārish
kāġhaz par motī kī laḌī hai
naqsh ubharte haiñ har lamha
yādoñ kī bhī umr baḌī hai
mustaqbil se saiqal hogī
sadiyoñ par jo gard paḌī hai
lamhoñ kī pariyāñ jhuum rahī haiñ
hāthoñ meñ jaadū kī chhaḌī hai
dhup pe kaisi gard paDi hai
din hai chhoTa raat baDi hai
us ke hit ka tarz-e-nigarish
kaghaz par moti ki laDi hai
naqsh ubharte hain har lamha
yaadon ki bhi umr baDi hai
mustaqbil se saiqal hogi
sadiyon par jo gard paDi hai
lamhon ki pariyan jhum rahi hain
hathon mein jadu ki chhaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.