dhup qismat hai to phir dhup ka KHugar hona
dhuup qismat hai to phir dhuup kā ḳhūgar honā
kyā zarūrī hai sadā saaya kā sar par honā
kyoñ na ham lamha-e-maujūd meñ hañs kar jī leñ
jab ki mumkin nahīñ hālāt kā behtar honā
sirf qissoñ kī kitāboñ meñ paḌhā karte the
ham ne dekhā na thā insān kā patthar honā
sirf sūrat nahīñ sīrat bhī bigaḌ jaatī hai
ik 'ajab rog hai haarā huā lashkar honā
naam jis haal kā sahrā meñ hai āzāda-ravī
shahr meñ us ko kahā jaatā hai be-ghar honā
ho gayā itnā to 'yūnus' kī ġhazal se zāhir
ahd-e-hāzir meñ bhī mumkin hai suḳhan-var honā
dhup qismat hai to phir dhup ka KHugar hona
kya zaruri hai sada saya ka sar par hona
kyon na hum lamha-e-maujud mein hans kar ji len
jab ki mumkin nahin haalat ka behtar hona
sirf qisson ki kitabon mein paDha karte the
hum ne dekha na tha insan ka patthar hona
sirf surat nahin sirat bhi bigaD jati hai
ek 'ajab rog hai haara hua lashkar hona
nam jis haal ka sahra mein hai aazada-rawi
shahr mein us ko kaha jata hai be-ghar hona
ho gaya itna to 'yunus' ki ghazal se zahir
ahd-e-hazir mein bhi mumkin hai suKHan-war hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.