dhup samandar sahra main tha
dhuup samandar sahrā maiñ thā
apnī zaat meñ kyā kyā maiñ thā
sho.ale meñ thī phuul kī ḳhushbū
phuul ke andar sho.ala maiñ thā
jāgtī āñkheñ bhāgte manzar
jaane kis kā sapnā maiñ thā
būḌhā māñjhī TuuTī kashtī
apne safar meñ tanhā maiñ thā
mere lahū se chāñd thā raushan
tujh bin jaltā saverā maiñ thā
bāhar bāhar thī ḳhāmoshī
andar andar chīḳhā maiñ thā
biich samandar sairābī thī
sāhil sāhil pyāsā maiñ thā
peḌ se uljhā peḌ se lipTā
jaise havā kā jhoñkā maiñ thā
ruup dhaar ke jogī jaisā
jangal jangal bhaTkā maiñ thā
manzil kab thī mere safar kī
phir bhī safar meñ rahtā maiñ thā
mere lab pe hañsī thī lekin
dard meñ Duubā naġhma maiñ thā
mujh ko dekho merī ġhazal meñ
aap hī apnā lahja maiñ thā
dhup samandar sahra main tha
apni zat mein kya kya main tha
shoale mein thi phul ki KHushbu
phul ke andar shoala main tha
jagti aankhen bhagte manzar
jaane kis ka sapna main tha
buDha manjhi TuTi kashti
apne safar mein tanha main tha
mere lahu se chand tha raushan
tujh bin jalta sawera main tha
bahar bahar thi KHamoshi
andar andar chiKHa main tha
bich samandar sairabi thi
sahil sahil pyasa main tha
peD se uljha peD se lipTa
jaise hawa ka jhonka main tha
rup dhaar ke jogi jaisa
jangal jangal bhaTka main tha
manzil kab thi mere safar ki
phir bhi safar mein rahta main tha
mere lab pe hansi thi lekin
dard mein Duba naghma main tha
mujh ko dekho meri ghazal mein
aap hi apna lahja main tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.