dhup sar se guzarne wali hai
dhuup sar se guzarne vaalī hai
zindagī shaam karne vaalī hai
aaj rishtoñ ko joḌ kar rakhiye
kal to hastī bikharne vaalī hai
ye jo bal khā ke chal rahī hai bahut
ye nadī to utarne vaalī hai
phir bagūlā uThā hai bastī meñ
phir qayāmat guzarne vaalī hai
yūrish-e-ranj-o-ġham se tū 'āsif'
ban ke kundan nikharne vaalī hai
dhup sar se guzarne wali hai
zindagi sham karne wali hai
aaj rishton ko joD kar rakhiye
kal to hasti bikharne wali hai
ye jo bal kha ke chal rahi hai bahut
ye nadi to utarne wali hai
phir bagula uTha hai basti mein
phir qayamat guzarne wali hai
yurish-e-ranj-o-gham se tu 'asif'
ban ke kundan nikharne wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.