dhup shajar ko git sunae aati hai
dhuup shajar ko giit sunā.e aatī hai
titlī saare rañg churā.e aatī hai
un ash.ār kā ḳhush honā to lāzim hai
jin ash.ār pe un kī raa.e aatī hai
thoḌī der meñ train nikalne vaalī hai
sun thoḌī hī der meñ chaa.e aatī hai
is lamhe par lag jaate haiñ ghar ko bhī
jab jab vo is samt sarā.e aatī hai
ya.anī us ne Thaan hī lī hai jaane kī
vo puurā sāmān uThā.e aatī hai
ḳhuun bahātī hai 'bāsit' kohsāroñ par
shaam añdherī raat chhupā.e aatī hai
dhup shajar ko git sunae aati hai
titli sare rang churae aati hai
un ashaar ka KHush hona to lazim hai
jin ashaar pe un ki rae aati hai
thoDi der mein train nikalne wali hai
sun thoDi hi der mein chae aati hai
is lamhe par lag jate hain ghar ko bhi
jab jab wo is samt sarae aati hai
yani us ne Than hi li hai jaane ki
wo pura saman uThae aati hai
KHun bahati hai 'basit' kohsaron par
sham andheri raat chhupae aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.