dhyan-mahal mein bhi jo gori aane se sharmae
dhyān-mahal meñ bhī jo gorī aane se sharmā.e
darshan-jal se phir koī kaise nainan-pyās bujhā.e
tāroñ kī chilman se jhāñke phūloñ meñ muskā.e
ruup nagar kī is raanī kā ghuñghaT kaun uThā.e
gore mukh par kaalī laT kuchh aisī chhab dikhlā.e
chāñd pe jaise jhuum jhuum kar naag koī lahrā.e
dūdhiyā saarī meñ damke hai yuuñ gorī kā ruup
jal dhārā ke nīche jaise koī aag jalā.e
chāñd hai jhūmar taare us kī cholī ke haiñ phuul
gagan mañDal par baiThī hai vo apnī sej bajā.e
ham haiñ dhartī ke añdhiyāre vo ākāsh kī jot
añdhiyārā jotī se āḳhir kyūñkar nain milā.e
janam janam se madhur milan kī aa.ī hai yahī riit
jaan kare jo hañs kar arpan darshan bhī vahī paa.e
dhyan-mahal mein bhi jo gori aane se sharmae
darshan-jal se phir koi kaise nainan-pyas bujhae
taron ki chilman se jhanke phulon mein muskae
rup nagar ki is rani ka ghunghaT kaun uThae
gore mukh par kali laT kuchh aisi chhab dikhlae
chand pe jaise jhum jhum kar nag koi lahrae
dudhiya sari mein damke hai yun gori ka rup
jal dhaara ke niche jaise koi aag jalae
chand hai jhumar tare us ki choli ke hain phul
gagan manDal par baiThi hai wo apni sej bajae
hum hain dharti ke andhiyare wo aakash ki jot
andhiyara joti se aaKHir kyunkar nain milae
janam janam se madhur milan ki aai hai yahi rit
jaan kare jo hans kar arpan darshan bhi wahi pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.