di hai agar hayat tamanna kiye baghair
dī hai agar hayāt tamannā kiye baġhair
ab maut bhī atā ho taqāzā kiye baġhair
bāzār-e-zindagī hai faqat ghūmne kī jā
kuchh bhī yahāñ milegā na saudā kiye baġhair
maiñ bhī anā-pasand huuñ lekin karūñ to kyā
dil māntā nahīñ use sajda kiye baġhair
jalva numūd-e-jism hai aur jism hai hijāb
parde meñ koī rahtā hai parda kiye baġhair
mansūb kis se hotī phir āḳhir matā-e-dil
maiñ tum ko chhoḌ detā jo apnā kiye baġhair
ye kār-nāma hai dil-e-ḳhud-ehtisāb kā
maiñ pāk-bāz ho gayā tauba kiye baġhair
fariyād kis se kījiye us chāra-sāz kī
jo chhoḌ de marīz ko achchhā kiye baġhair
chup rah ke mutma.in haiñ nahīñ jānte 'sarosh'
kuchh raaz faash hote haiñ charchā kiye baġhair
di hai agar hayat tamanna kiye baghair
ab maut bhi ata ho taqaza kiye baghair
bazar-e-zindagi hai faqat ghumne ki ja
kuchh bhi yahan milega na sauda kiye baghair
main bhi ana-pasand hun lekin karun to kya
dil manta nahin use sajda kiye baghair
jalwa numud-e-jism hai aur jism hai hijab
parde mein koi rahta hai parda kiye baghair
mansub kis se hoti phir aaKHir mata-e-dil
main tum ko chhoD deta jo apna kiye baghair
ye kar-nama hai dil-e-KHud-ehtisab ka
main pak-baz ho gaya tauba kiye baghair
fariyaad kis se kijiye us chaara-saz ki
jo chhoD de mariz ko achchha kiye baghair
chup rah ke mutmain hain nahin jaante 'sarosh'
kuchh raaz fash hote hain charcha kiye baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.