di hai wahshat to ye wahshat hi musalsal ho jae
dī hai vahshat to ye vahshat hī musalsal ho jaa.e
raqs karte hue atrāf meñ jañgal ho jaa.e
ai mire dasht-mizājo ye mirī āñkheñ haiñ
in se rūmāl bhī chhū jaa.e to bādal ho jaa.e
chaltā rahne do miyāñ silsila dildārī kā
āshiqī diin nahīñ hai ki mukammal ho jaa.e
hālat-e-hijr meñ jo raqs nahīñ kar saktā
us ke haq meñ yahī behtar hai ki pāgal ho jaa.e
merā dil bhī kisī āseb-zada ghar kī tarah
ḳhud-ba-ḳhud khulne lage ḳhud hī muqaffal ho jaa.e
Dūbtī naav meñ sab chīḳh rahe haiñ 'tābish'
aur mujhe fikr ġhazal merī mukammal ho jaa.e
di hai wahshat to ye wahshat hi musalsal ho jae
raqs karte hue atraf mein jangal ho jae
ai mere dasht-mizajo ye meri aankhen hain
in se rumal bhi chhu jae to baadal ho jae
chalta rahne do miyan silsila dildari ka
aashiqi din nahin hai ki mukammal ho jae
haalat-e-hijr mein jo raqs nahin kar sakta
us ke haq mein yahi behtar hai ki pagal ho jae
mera dil bhi kisi aaseb-zada ghar ki tarah
KHud-ba-KHud khulne lage KHud hi muqaffal ho jae
Dubti naw mein sab chiKH rahe hain 'tabish'
aur mujhe fikr ghazal meri mukammal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.