dibacha-e-kitab-e-wafa hai tamam umr
dībācha-e-kitāb-e-vafā hai tamām umr
ik lamha-e-shu.ūr-e-fanā hai tamām umr
mahrūmiyoñ ne saath diyā hai tamām umr
ik dard hai ki dil meñ rahā hai tamām umr
kyuuñ mere lab pe aa.ī ġham-e-āgahī kī baat
gustāḳhī-e-ḳhirad kī sazā hai tamām umr
yād-e-ḳhudā meñ jī na lagā hai ye aur baat
ḳhauf-e-ḳhudā to dil meñ rahā hai tamām umr
aa ḳhalvat-e-'sarosh' meñ ai marg-e-nā-gahāñ
terā hī intizār kiyā hai tamām umr
dibacha-e-kitab-e-wafa hai tamam umr
ek lamha-e-shuur-e-fana hai tamam umr
mahrumiyon ne sath diya hai tamam umr
ek dard hai ki dil mein raha hai tamam umr
kyun mere lab pe aai gham-e-agahi ki baat
gustaKHi-e-KHirad ki saza hai tamam umr
yaad-e-KHuda mein ji na laga hai ye aur baat
KHauf-e-KHuda to dil mein raha hai tamam umr
aa KHalwat-e-'sarosh' mein ai marg-e-na-gahan
tera hi intizar kiya hai tamam umr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.