dibacha-e-kitab farishte se kho gaya
dībācha-e-kitāb farishte se kho gayā
mazmūn-e-āñ-janāb farishte se kho gayā
tahrīr jo kiyā thā hamāre savāl par
yazdāñ kā vo javāb farishte se kho gayā
ham ko payambarī kī bashārat nahīñ milī
ilhām kā vo ḳhvāb farishte se kho gayā
sarzad huī thiiñ nashshe meñ ham se bhī nekiyāñ
vo daftar-e-hisāb farishte se kho gayā
kausar se bhar ke saaqī ne bhejā thā ham ko jo
mashkīza-e-sharāb farishte se kho gayā
āshiq ne koh-e-tūr pe khoyā hai hosh yuuñ
mahbūb kā naqāb farishte se kho gayā
injīl-e-pāk meñ to hamārā bhī zikr thā
āyāt kā vo baab farishte se kho gayā
dibacha-e-kitab farishte se kho gaya
mazmun-e-an-janab farishte se kho gaya
tahrir jo kiya tha hamare sawal par
yazdan ka wo jawab farishte se kho gaya
hum ko payambari ki bashaarat nahin mili
ilham ka wo KHwab farishte se kho gaya
sarzad hui thin nashshe mein hum se bhi nekiyan
wo daftar-e-hisab farishte se kho gaya
kausar se bhar ke saqi ne bheja tha hum ko jo
mashkiza-e-sharab farishte se kho gaya
aashiq ne koh-e-tur pe khoya hai hosh yun
mahbub ka naqab farishte se kho gaya
injil-e-pak mein to hamara bhi zikr tha
aayat ka wo bab farishte se kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.