dida-e-mahw-e-mal hai pyare
dīda-e-mahv-e-māl hai pyāre
kuchh ajab dil kā haal hai pyāre
zindagī ik vabāl hai pyāre
maut terā visāl hai pyāre
maiñ to ḳhud hī huuñ munfa.il sar-e-hashr
tujh ko kyuuñ infi.āl hai pyāre
zaḳhm tīr-e-nigāh se dil kā
taaza har dam nihāl hai pyāre
qissa kotāh ḳhāna-e-dil meñ
tū hai terā ḳhayāl hai pyāre
dard kā apnī had se baḌh jaanā
zaḳhm kā aur malāl hai pyāre
jis ko kahte haiñ fitna-e-mahshar
vo bhī ik terī chaal hai pyāre
talib-e-do-jahāñ nahīñ 'afqar'
tujh se terā savāl hai pyāre
dida-e-mahw-e-mal hai pyare
kuchh ajab dil ka haal hai pyare
zindagi ek wabaal hai pyare
maut tera visal hai pyare
main to KHud hi hun munfail sar-e-hashr
tujh ko kyun infial hai pyare
zaKHm tir-e-nigah se dil ka
taza har dam nihaal hai pyare
qissa kotah KHana-e-dil mein
tu hai tera KHayal hai pyare
dard ka apni had se baDh jaana
zaKHm ka aur malal hai pyare
jis ko kahte hain fitna-e-mahshar
wo bhi ek teri chaal hai pyare
talib-e-do-jahan nahin 'afqar'
tujh se tera sawal hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.