dida-e-shauq ashk jari kar
dīda-e-shauq ashk jaarī kar
ḳhushk hasrat kī ābiyārī kar
lamha-e-fikr ho ayaañ na kahīñ
fasl-e-ummīd parda-dārī kar
ek din apnī dastaras meñ ho
ek din zindagī hamārī kar
ek bharpūr saañs khīñch sakūñ
aur phir us meñ ustuvārī kar
zindagī ke usuul apnī jagah
baat kar aur kārobārī kar
merī fard-e-amal chhupā ke rakh
aur ta.azīr mujh pe jaarī kar
ek darvesh ne kahā 'iqrār'
fan ke ashhab pe jā savārī kar
dida-e-shauq ashk jari kar
KHushk hasrat ki aabiyari kar
lamha-e-fikr ho ayan na kahin
fasl-e-ummid parda-dari kar
ek din apni dastaras mein ho
ek din zindagi hamari kar
ek bharpur sans khinch sakun
aur phir us mein ustuwari kar
zindagi ke usul apni jagah
baat kar aur karobari kar
meri fard-e-amal chhupa ke rakh
aur tazir mujh pe jari kar
ek darwesh ne kaha 'iqrar'
fan ke ashhab pe ja sawari kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.