dida-e-shauq liye jazb-e-betab liye
dīda-e-shauq liye jazb-e-betāb liye
aaj to husn bhī hai ishq ke ādāb liye
chashm-e-maḳhmūr liye kākul-e-shab-tāb liye
rashk-e-īmāñ bhī haiñ vo kufr ke asbāb liye
un ke abrū pe haiñ bal aur tabassum lab par
mere afsāna-e-hastī kā nayā baab liye
ab to ye haal hai dekhe hue muddat guzrī
koī guzrā hī nahīñ ḳhanda-e-shādāb liye
ḳhvāb kyā chiiz hai ab ḳhvāb kī ta.abīr suno
varna har dīda-e-be-ḳhvāb hai ik ḳhvāb liye
raah meñ ab koī tūfāñ koī sailāb aa.e
zindagī aaj hai ḳhud fitrat-e-sailāb liye
dida-e-shauq liye jazb-e-betab liye
aaj to husn bhi hai ishq ke aadab liye
chashm-e-maKHmur liye kakul-e-shab-tab liye
rashk-e-iman bhi hain wo kufr ke asbab liye
un ke abru pe hain bal aur tabassum lab par
mere afsana-e-hasti ka naya bab liye
ab to ye haal hai dekhe hue muddat guzri
koi guzra hi nahin KHanda-e-shadab liye
KHwab kya chiz hai ab KHwab ki tabir suno
warna har dida-e-be-KHwab hai ek KHwab liye
rah mein ab koi tufan koi sailab aae
zindagi aaj hai KHud fitrat-e-sailab liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.