Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dida-o-dil mein utar jata hai

Shareef Munawwar

dida-o-dil mein utar jata hai

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    dīda-o-dil meñ utar jaatā hai

    har azaab aa ke Thahar jaatā hai

    koī uThtā hai mujh meñ har roz

    roz mujh maiñ koī mar jaatā hai

    ye mulāqāt hai chaurāhe

    dekhiye kaun kidhar jaatā hai

    fikr ghar ho to vahshat chhūTe

    kār-e-vahshat ho to ghar jaatā hai

    raat kis tarah mirī jaañ guzre

    din to daftar meñ guzar jaatā hai

    ye jo tūfān hai us sahrā

    ek mauj ke sar jaatā hai

    ye junūñ kyā hai 'munavvar' tujh ko

    kyuuñ sar-e-shām ghar jaatā hai

    dida-o-dil mein utar jata hai

    har azab aa ke Thahar jata hai

    koi ji uThta hai mujh mein har roz

    roz mujh main koi mar jata hai

    ye mulaqat hai chaurahe ki

    dekhiye kaun kidhar jata hai

    fikr ghar ki ho to wahshat chhuTe

    kar-e-wahshat ho to ghar jata hai

    raat kis tarah meri jaan guzre

    din to daftar mein guzar jata hai

    ye jo tufan hai us ka sahra

    ek hi mauj ke sar jata hai

    ye junun kya hai 'munawwar' tujh ko

    kyun sar-e-sham hi ghar jata hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now