didar tere husn ka bas aankh bhar karun
dīdār tere husn kā bas aañkh bhar karūñ
aur phir isī surūr meñ pahroñ basar karūñ
misroñ meñ Dhal ke aap ke dil meñ utar sakeñ
itnā maiñ har ḳhayāl ko bārīk-tar karūñ
ai zindagī batā mujhe tū ne diyā hai kyā
terā yaqīñ karūñ bhī to kis baat par karūñ
ye bhī to ik tarah se mohabbat kī haar hai
ḳhud ko tumhāre hijr meñ barbād gar karūñ
merī masāfatoñ kī koī intihā to ho
in ābloñ ke saath maiñ kab tak safar karūñ
har shaḳhs kī zabān pe 'kāfir' kā naam ho
itnā maiñ apne aap ko ab nāmvar karūñ
didar tere husn ka bas aankh bhar karun
aur phir isi surur mein pahron basar karun
misron mein Dhal ke aap ke dil mein utar saken
itna main har KHayal ko barik-tar karun
ai zindagi bata mujhe tu ne diya hai kya
tera yaqin karun bhi to kis baat par karun
ye bhi to ek tarah se mohabbat ki haar hai
KHud ko tumhaare hijr mein barbaad gar karun
meri masafaton ki koi intiha to ho
in aablon ke sath main kab tak safar karun
har shaKHs ki zaban pe 'kafir' ka nam ho
itna main apne aap ko ab namwar karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.