din-dari kar rahe the
dīn-dārī kar rahe the
hoshiyārī kar rahe the
log apne halke-pan se
ḳhud ko bhārī kar rahe the
lāzmī har kaam apnā
iḳhtiyārī kar rahe the
phuul jaise log ham par
sañg-bārī kar rahe the
jam.a TuuTe ḳhvāb kī bas
rezgārī kar rahe the
chāhte the jo na ronā
āh-o-zārī kar rahe the
ūñche qad ke saa.e mujh meñ
ḳhauf taarī kar rahe the
tum hī aadhī kar rahe ho
ham to saarī kar rahe the
kar rahe the shā.irī aur
ābshārī kar rahe the
din-dari kar rahe the
hoshiyari kar rahe the
log apne halke-pan se
KHud ko bhaari kar rahe the
lazmi har kaam apna
iKHtiyari kar rahe the
phul jaise log hum par
sang-bari kar rahe the
jama TuTe KHwab ki bas
rezgari kar rahe the
chahte the jo na rona
aah-o-zari kar rahe the
unche qad ke sae mujh mein
KHauf tari kar rahe the
tum hi aadhi kar rahe ho
hum to sari kar rahe the
kar rahe the shairi aur
aabshaari kar rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.