din se dur, na mazhab se alag baiTha hun
din se dur, na mazhab se alag baiTha hun
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
diin se duur, na maz.hab se alag baiThā huuñ
terī dahlīz pe huuñ, sab se alag baiThā huuñ
Dhañg kī baat kahe koii, to bolūñ maiñ bhī
matlabī huuñ, kisī matlab se alag baiThā huuñ
bazm-e-ahbāb meñ hāsil na huā chain mujhe
mutma.in dil hai bahut, jab se alag baiThā huuñ
ġhair se duur, magar us kī nigāhoñ ke qarīñ
mahfil-e-yār meñ is Dhab se alag baiThā huuñ
yahī maslak hai mirā, aur yahī merā maqām
aaj tak ḳhvāhish-e-mansab se alag baiThā huuñ
umr kartā huuñ basar gosha-e-tanhā.ī meñ
jab se vo ruuTh ga.e, tab se alag baiThā huuñ
merā andāz 'nasīr' ahl-e-jahāñ se hai judā
sab meñ shāmil huuñ, magar sab se alag baiThā huuñ
din se dur, na mazhab se alag baiTha hun
teri dahliz pe hun, sab se alag baiTha hun
Dhang ki baat kahe koi, to bolun main bhi
matlabi hun, kisi matlab se alag baiTha hun
bazm-e-ahbab mein hasil na hua chain mujhe
mutmain dil hai bahut, jab se alag baiTha hun
ghair se dur, magar us ki nigahon ke qarin
mahfil-e-yar mein is Dhab se alag baiTha hun
yahi maslak hai mira, aur yahi mera maqam
aaj tak KHwahish-e-mansab se alag baiTha hun
umr karta hun basar gosha-e-tanhai mein
jab se wo ruTh gae, tab se alag baiTha hun
mera andaz 'nasir' ahl-e-jahan se hai juda
sab mein shamil hun, magar sab se alag baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.