dip yaadon ke dafinon pe jala kar soe
diip yādoñ ke dafīnoñ pe jalā kar so.e
ḳhud pe uftād na.ī roz uThā kar so.e
dil ke armān ka.ī ahl-e-suḳhan raat ga.e
ek gumnām udāsī ko sunā kar so.e
phir shab-e-hijr ke siine pe lagā.ī Thokar
sher do-chār na.e phir se banā kar so.e
mujh ko ik bahr-e-aziyyat kā havāla de kar
shab kahīñ vasl ke dariyā meñ nahā kar so.e
vo tirī haañ meñ sadā haañ hī milāne vaale
ḳhud pe ab daaġh munāfiq kā sajā kar so.e
kal ga.e raat javānī se rihā.ī māñgī
bachpane daur ko pahlū meñ liTā kar so.e
rabb-ul-arbāb kī jaarī hoñ atā.eñ mujh pe
mere ahbāb agar mujh ko duā kar so.e
din kisī yaad ke saa.e meñ guzārā lekin
raat ham dard ke qadmoñ meñ bichhā kar so.e
tere atrāf hī ghūme hai taḳhayyul merā
merī har ek ġhazal tujh ko sulā kar so.e
raat bhar niiñd se rahtī hai laḌā.ī merī
tū mire yaar agar mujh ko bhulā kar so.e
ishq to ḳhair 'ḳhalīl' ab bhī bulā.e lekin
kis meñ himmat hai shab-e-hijr manā kar so.e
dip yaadon ke dafinon pe jala kar soe
KHud pe uftad nai roz uTha kar soe
dil ke arman kai ahl-e-suKHan raat gae
ek gumnam udasi ko suna kar soe
phir shab-e-hijr ke sine pe lagai Thokar
sher do-chaar nae phir se bana kar soe
mujh ko ek bahr-e-aziyyat ka hawala de kar
shab kahin wasl ke dariya mein naha kar soe
wo teri han mein sada han hi milane wale
KHud pe ab dagh munafiq ka saja kar soe
kal gae raat jawani se rihai mangi
bachpane daur ko pahlu mein liTa kar soe
rabb-ul-arbab ki jari hon ataen mujh pe
mere ahbab agar mujh ko dua kar soe
din kisi yaad ke sae mein guzara lekin
raat hum dard ke qadmon mein bichha kar soe
tere atraf hi ghume hai taKHayyul mera
meri har ek ghazal tujh ko sula kar soe
raat bhar nind se rahti hai laDai meri
tu mere yar agar mujh ko bhula kar soe
ishq to KHair 'KHalil' ab bhi bulae lekin
kis mein himmat hai shab-e-hijr mana kar soe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.