diwana apna kaun sa aalam dikha gaya
dīvāna apnā kaun sā aalam dikhā gayā
un ke laboñ pe ek tabassum sā aa gayā
muddat se zindagī meñ nahīñ koī inqalāb
shāyad tirā firāq mujhe raas aa gayā
tum par hī kuchh asar na huā aur bārhā
dushman bhī mere haal pe aañsū bahā gayā
un se barāh-e-rāst huī jab na guftugū
ashkoñ ke vāste se payām-e-vafā gayā
naqsh-o-nigār-e-dāman-e-sahrā ko ho naved
maiñ ya.anī ek ābla-pā aur aa gayā
ab is kā kyā ilaaj ki un kā har ik sitam
kuchh aur e'timād-e-mohabbat baḌhā gayā
vo bazm aur jur.at-e-iz.hār-e-zindagī
ik maiñ hī thā ki tohmat-e-hastī uThā gayā
afsurda bazm-e-māh ho yā sham.a-e-ashk-bār
parvāna apnā jashn-e-charāġhāñ manā gayā
un kā karam to aaj bhī hai dastgīr-e-shauq
'bāsit' magar hamīñ meñ koī farq aa gayā
diwana apna kaun sa aalam dikha gaya
un ke labon pe ek tabassum sa aa gaya
muddat se zindagi mein nahin koi inqalab
shayad tera firaq mujhe ras aa gaya
tum par hi kuchh asar na hua aur barha
dushman bhi mere haal pe aansu baha gaya
un se barah-e-rast hui jab na guftugu
ashkon ke waste se payam-e-wafa gaya
naqsh-o-nigar-e-daman-e-sahra ko ho nawed
main yani ek aabla-pa aur aa gaya
ab is ka kya ilaj ki un ka har ek sitam
kuchh aur e'timad-e-mohabbat baDha gaya
wo bazm aur jurat-e-izhaar-e-zindagi
ek main hi tha ki tohmat-e-hasti uTha gaya
afsurda bazm-e-mah ho ya shama-e-ashk-bar
parwana apna jashn-e-charaghan mana gaya
un ka karam to aaj bhi hai dastgir-e-shauq
'basit' magar hamin mein koi farq aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.