diwana bana degi tere pyar ki KHushbu
dīvāna banā degī tire pyaar kī ḳhushbū
inkār se aatī huī iqrār kī ḳhushbū
jī kahtā hai kāñToñ ko bhī hoñToñ se lagā luuñ
har phuul se aatī hai lab-e-yār kī ḳhushbū
maiñ ne to faqat ret pe ik naam likhā thā
sahrā kī havāoñ meñ hai gulzār kī ḳhushbū
is shahr meñ ḳhushbū ke ḳharīdār bahut haiñ
allāh bachā.e tire kirdār kī ḳhushbū
rusvā.ī ke tohfe se navāze ga.e aksar
har shaḳhs kī qismat meñ kahāñ pyaar kī ḳhushbū
'ma.asūm' lage hoñge jinheñ zaḳhm-e-mohabbat
mahsūs kareñge mire ash.ār kī ḳhushbū
diwana bana degi tere pyar ki KHushbu
inkar se aati hui iqrar ki KHushbu
ji kahta hai kanTon ko bhi honTon se laga lun
har phul se aati hai lab-e-yar ki KHushbu
main ne to faqat ret pe ek nam likha tha
sahra ki hawaon mein hai gulzar ki KHushbu
is shahr mein KHushbu ke KHaridar bahut hain
allah bachae tere kirdar ki KHushbu
ruswai ke tohfe se nawaze gae aksar
har shaKHs ki qismat mein kahan pyar ki KHushbu
'masum' lage honge jinhen zaKHm-e-mohabbat
mahsus karenge mere ashaar ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.