diwana dorahe pe khaDa soch raha hai
dīvāna dorāhe pe khaḌā soch rahā hai
ka.abe meñ ḳhudā hai to sanam-ḳhāne meñ kyā hai
saaqī kī nigāhoñ se jo sarshār huā hai
paimāna uThāne kī zarūrat use kyā hai
uljhī huī zulfeñ tirī suljhā.eñge kaise
vo log jinheñ gardish-e-daurāñ se gila hai
ye manzil-e-furqat pe shab-e-hijr kā aalam
tāroñ kī tarah dil bhī mirā Duub rahā hai
kuchh rahzan-o-rahbar pe hī mauqūf hai hamdam
is daur meñ dekho jise dīvāna huā hai
mai-kash haiñ na saaqī hai na sāġhar hai na baada
rindo mere maiḳhāne kī tarkīb judā hai
tūfān kī har mauj se ai 'shād' yahī pūchh
kuchh Dūbne vāloñ kā batā tujh ko patā hai
diwana dorahe pe khaDa soch raha hai
kabe mein KHuda hai to sanam-KHane mein kya hai
saqi ki nigahon se jo sarshaar hua hai
paimana uThane ki zarurat use kya hai
uljhi hui zulfen teri suljhaenge kaise
wo log jinhen gardish-e-dauran se gila hai
ye manzil-e-furqat pe shab-e-hijr ka aalam
taron ki tarah dil bhi mera Dub raha hai
kuchh rahzan-o-rahbar pe hi mauquf hai hamdam
is daur mein dekho jise diwana hua hai
mai-kash hain na saqi hai na saghar hai na baada
rindo mere maiKHane ki tarkib juda hai
tufan ki har mauj se ai 'shad' yahi puchh
kuchh Dubne walon ka bata tujh ko pata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.