diwana kahe hai koi farzana kahe hai
dīvāna kahe hai koī farzāna kahe hai
ai 'tāj' zamāna tujhe kyā kyā na kahe hai
phūloñ kī ḳhamoshī ho ki bulbul kī fuġhāñ ho
unvān badal kar mirā afsāna kahe hai
anjām-e-mohabbat hai dil-o-jāñ se guzarnā
har sub.h ye ḳhākistar-e-parvāna kahe hai
kyā fikr hai saaqī jo mai-o-jām nahīñ haiñ
duniyā tirī āñkhoñ hī ko paimāna kahe hai
pursish se huā aur bhī kuchh dard ziyāda
achchhe ho kahā jaise ki begāna kahe hai
dil kah ke pukāre hai jise saarā zamāna
'tāj' us ko magar husn kā nazrāna kahe hai
diwana kahe hai koi farzana kahe hai
ai 'taj' zamana tujhe kya kya na kahe hai
phulon ki KHamoshi ho ki bulbul ki fughan ho
unwan badal kar mera afsana kahe hai
anjam-e-mohabbat hai dil-o-jaan se guzarna
har subh ye KHakistar-e-parwana kahe hai
kya fikr hai saqi jo mai-o-jam nahin hain
duniya teri aankhon hi ko paimana kahe hai
pursish se hua aur bhi kuchh dard ziyaada
achchhe ho kaha jaise ki begana kahe hai
dil kah ke pukare hai jise sara zamana
'taj' us ko magar husn ka nazrana kahe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.